Sunday, 5 June 2011

▄▀▀▓▒░░░░░░░░░░░░░░░░▒▓▓▀▄
▄▀▓▒▒░░░░░░░░░░░░░░░░░░░▒▒▓▀▄
█▓█▒░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░▒▓▒▓█
▌▓▀▒░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░▒▀▓█
█▌▓▒▒░░░░░░░░:::::::::::::::::::░░░░░░░░▒▓█
▐█▓▒░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░▒▓█▌
█▓▒▒░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░▒▓█
█▐▒▒░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░▒▒█▓█
█▓█▒░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░░▒█▌▓█
█▓▓█▒░░░░▒█▄▒▒░░░░░░░░░▒▒▄█▒░░░░▒█▓▓█
█▓█▒░▒▒▒▒░░▀▀█▄▄░░░░░▄▄█▀▀░░▒▒▒▒░▒█▓█
█▓▌▒▒▓▓▓▓▄▄▄▒▒▒▀█░░░░█▀▒▒▒▄▄▄▓▓▓▓▒▒▐▓█
██▌▒▓███▓█████▓▒▐▌░░▐▌▒▓████▓████▓▒▐██
██▒▒▓███▓▓▓████▓▄░░░▄▓████▓▓▓███▓▒▒██
█▓▒▒▓██████████▓▒░░░▒▓██████████▓▒▒▓█
█▓▒░▒▓███████▓▓▄▀░░▀▄▓▓███████▓▒░▒▓█
█▓▒░▒▒▓▓▓▓▄▄▄▀▒░░░░░▒▀▄▄▄▓▓▓▓▒▒░▓█
█▓▒░▒▒▒▒░░░░░░▒▒▒▒░░░░░░▒▒▒▒░▒▓█
█▓▓▒▒▒░░██░░▒▓██▓▒░░██░░▒▒▒▓▓█
▀██▓▓▓▒░░▀░▒▓████▓▒░▀░░▒▓▓▓██▀
░▀█▓▒▒░░░▓█▓▒▒▓█▓▒░░▒▒▓█▀░
█░░██▓▓▒░░▒▒▒░▒▒▒░░▒▓▓██░░█
█▄░░▀█▓▒░░░░░░░░░░▒▓█▀░░▄█
█▓█░░█▓▒▒▒░░░░░▒▒▒▓█░░█▓█
▐█▓█░░█▀█▓▓▓▓▓▓█▀░░█░█▓█▌
█▓▓█░█░█░█▀▀▀█░█░▄▀░█▓█
█▓▓█░░▀█▀█░█░█▄█▀░░█▓▓█
█▓▒▓█░░░░▀▀▀▀░░░░░█▓▓█
█▓▒▒▓█░░░░░░░░░░░█▓▓█
▐█▓▒▓██▄█░░░▄░▄██▓▒▓█
█▓▒▒▓█▒█▀█▄█▀█▒█▓▒▓█
█▓▓▒▒▓██▒▒██▒██▓▒▒▓█
█▓▓▒▒▓▀▀███▀▀▒▒▓▓█
▀█▓▓▓▓▒▒▒▒▓▓▓▓█▀
▀▀██▓▓▓▓██ hEllO EvErY One :)))))

Tuesday, 17 May 2011

Desh ke har kone mai ek neta hai
wo kabhi vote kabhi rishwat
kabhi janta ka vishwas leta hai
karta hai vaade hajar .........
badle mai kuchh nhi deta hai

jo shiksha ka arth bhi nahi janta
wo desh ke vikas ki baat karta hai
jo apno ko apna nahi manta ........
wo dusro ki seva ki baat karta hai

jisne rishte naate tod diye hai
wo desh ki akhandta ki baat karta hai
jisne saare niyam tod diye hai .........
wo aachar sahinta ki baat karta hai

esme koi aashchrya nahi ki
neta kuchh khas karta hai
logo ka fodkar ghar .......
apna pait bharta hai


lacharo ko banake nishana
karke hamdardi ka bahana
apna swarth pura karta hai
phir bhi trupt nhi hota to
khun-kharaba chori daketi karta hai
karke ghaple gunda-gardi
sabhyata ka natak karta hai
logoki masumiyat ka fayda uthakar
apna kaam pura karta hai

garibo ka majak udakar
mahanta ka chola pahnata hai
ek neta dusre neta ki burai karta hai
neta , neta par elzaam lagata hai
esme koi shak bhi to nahi
sab jante hai sansad mai kya hota hai

nishkarsh kuchh nikalata nahi
naahi desh ka kuchh banata hai
es faltu ki jaddojahad mai
keval aam ensaan hi fasta hai
keval aam ensaan hi fasta hai
Posted by Shweta at 11:28 PM 1 comments
Labels: Political

Followers